Chand ka tukda na sahi
na suraj ka numayinda hai tu
anjaan hai shayad magar
iss dil ka bashinda hai tu
teri har saans ka paygaam
meri ruh ko choo jaata hai
meri dhadkanon ki tamanna hai tu
khidki par os ki boond mein
tera aks nazar aata hai
mere har tabassum ki
intehaan hai tu
mere gam ki raaton mein
roushan hone vale chirag
mere har khwab ki tassveer hai tu
mere khwaabon ka aashiyan hai tu
baarish ki tanhaayiyon mein
tera khayal shaamil hai
gili khali sadakon par
mere liye mehfil sajaata hai tu
teri yad ki tadap mein
kitne ashq chalak gaye
dard par chalajk na payaa
mere nam rumaal ki khushbu mein hai tu
na jaane kya talaashti hain chand mein
tera chehra dhoondti hain didar ke liye
ayi bekhabar
in aankhon ka jahaan hai tu
sookhe labon se nikalti hai sada
har alfaz mein teri kahani hai
qyayam hai ab tak ummeed
meri har dua ka armaan hai tu
teri zindagi ke mayne
tujhse nadarad beshaq ho
magar aise na khafa ho
vaqai is zindagi ki vajah hai tu
meri zameen mera aasmaan hai tu